mayusi mein dil bechaara sadiyon se
māyūsī meñ dil bechāra sadiyoñ se
DhūñD rahā hai ek sahārā sadiyoñ se
ek hī baat abas dohrā.e jaatā hai
tan meñ chaltā saañs kā aarā sadiyoñ se
'hīr' agarche maiñ ne apnī paalī hai
DhūñD rahā huuñ taḳht hazārā sadiyoñ se
tum se kaise simTegā ye lamhoñ meñ
dil apnā hai pāra-pāra sadiyoñ se
kis elaan ko guuñj rahā hai nas-nas meñ
dhaḌkan dhaḌkan ik naqqārā sadiyoñ se
kū-e-manzil-e-ishq meñ koī kaam mile
dil āvāra hai nākārā sadiyoñ se
dil par kyā ham ne to jānāñ jaan pe bhī
likh rakkhā hai naam tumhārā sadiyoñ se
us ne dil ke dard se pūchhā kab se ho
dil se uTh ke dard pukārā sadiyoñ se
ḳhushk paḌā hai aañkh ke parde par 'tāhir'
bahr-e-dard kā ek kinārā sadiyoñ se
mayusi mein dil bechaara sadiyon se
DhunD raha hai ek sahaara sadiyon se
ek hi baat abas dohrae jata hai
tan mein chalta sans ka aara sadiyon se
'hir' agarche main ne apni pali hai
DhunD raha hun taKHt hazara sadiyon se
tum se kaise simTega ye lamhon mein
dil apna hai para-para sadiyon se
kis elan ko gunj raha hai nas-nas mein
dhaDkan dhaDkan ek naqqara sadiyon se
ku-e-manzil-e-ishq mein koi kaam mile
dil aawara hai nakara sadiyon se
dil par kya hum ne to jaanan jaan pe bhi
likh rakkha hai nam tumhaara sadiyon se
us ne dil ke dard se puchha kab se ho
dil se uTh ke dard pukara sadiyon se
KHushk paDa hai aankh ke parde par 'tahir'
bahr-e-dard ka ek kinara sadiyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.