mazi se apni aankh ko tar kar liya karen
maazī se apnī aañkh ko tar kar liyā kareñ
tāroñ kī raushnī meñ safar kar liyā kareñ
kāñToñ sī lafziyāt hai apnī zabāñ kā sach
ye sach qubūl ho to nazar kar liyā kareñ
āsāñ-tarīn maut kī sab koshisheñ fuzūl
itnī hī Thokaroñ meñ guzar kar liyā kareñ
dariyā se koī guftugū karne se peshtar
patthar pe tez apnā hunar kar liyā kareñ
jab aisī koī baat uThe maiñ to kyā mire
saa.e se duur apnā shajar kar liyā kareñ
tahrīr meñ kisī kī kajī dekhne ke ba.ad
zer-o-zabar pe apnī nazar kar liyā kareñ
mazi se apni aankh ko tar kar liya karen
taron ki raushni mein safar kar liya karen
kanTon si lafziyat hai apni zaban ka sach
ye sach qubul ho to nazar kar liya karen
aasan-tarin maut ki sab koshishen fuzul
itni hi Thokaron mein guzar kar liya karen
dariya se koi guftugu karne se peshtar
patthar pe tez apna hunar kar liya karen
jab aisi koi baat uThe main to kya mere
sae se dur apna shajar kar liya karen
tahrir mein kisi ki kaji dekhne ke baad
zer-o-zabar pe apni nazar kar liya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.