machalte gate hasin walwalon ki basti mein
machalte gaate hasīñ valvaloñ kī bastī meñ
rahe the ham bhī kabhī manchaloñ kī bastī meñ
ḳhushī ke bhāgte lamhe idhar kā ruḳh na kareñ
ḳhushī kā kaam hī kyā dil-jaloñ kī bastī meñ
jo aa ke baiThā vo dāman pe daaġh le ke uThā
bachā hai kaun bhalā kāhiloñ kī bastī meñ
guzar gayā huuñ kabhī be-ḳharāsh kāñToñ se
chhile haiñ pair kabhī maḳhmaloñ kī bastī meñ
Tapak rahā hai lahū jin kī āstīnoñ se
vo log aan base haiñ bhaloñ kī bastī meñ
base hue haiñ kuchh ahl-e-ḳhirad bhī ai rahbar
na jaane soch ke kyā pāgaloñ kī bastī meñ
machalte gate hasin walwalon ki basti mein
rahe the hum bhi kabhi manchalon ki basti mein
KHushi ke bhagte lamhe idhar ka ruKH na karen
KHushi ka kaam hi kya dil-jalon ki basti mein
jo aa ke baiTha wo daman pe dagh le ke uTha
bacha hai kaun bhala kahilon ki basti mein
guzar gaya hun kabhi be-KHarash kanTon se
chhile hain pair kabhi maKHmalon ki basti mein
Tapak raha hai lahu jin ki aastinon se
wo log aan base hain bhalon ki basti mein
base hue hain kuchh ahl-e-KHirad bhi ai rahbar
na jaane soch ke kya pagalon ki basti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.