Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

machalte khelte aur naz farmate hue aana

Dharampal  Gupta  Wafa Dehlvi

machalte khelte aur naz farmate hue aana

Dharampal Gupta Wafa Dehlvi

MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi

    machalte khelte aur naaz farmāte hue aanā

    ba-zo’m-e-husn phir har shai ko Thukrāte hue aanā

    harīm-e-ḳhās ke pardoñ ko sarkāte hue aanā

    abhī tak yaad hai un vo sharmāte hue aanā

    siyah-zulfoñ ko yuuñ shānoñ pe lahrāte hue aanā

    koī nāgin ho jaise us bal khāte hue aanā

    mire saaqī sū-e-mai-kada jaate hue aanā

    ḳhushā-qismat 'vafā' par lutf farmāte hue aanā

    machalte khelte aur naz farmate hue aana

    ba-zo’m-e-husn phir har shai ko Thukraate hue aana

    harim-e-KHas ke pardon ko sarkate hue aana

    abhi tak yaad hai un ka wo sharmate hue aana

    siyah-zulfon ko yun shanon pe lahraate hue aana

    koi nagin ho jaise us ka bal khate hue aana

    mere saqi ka su-e-mai-kada jate hue aana

    KHusha-qismat 'wafa' par lutf farmate hue aana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now