machhliyan jal machhere dariya
machhliyāñ jaal machhere dariyā
ye mire ḳhvāb ye bahte dariyā
barf pighlī tirī aahaT pā kar
terī āvāz pe jaage dariyā
ye ravānī nahīñ dekhī hogī
tū ne dekhe haiñ bahut se dariyā
jis ne dekhī nahīñ āñkheñ terī
vo kabhī shaam ko dekhe dariyā
kis ko kis paar utarnā hai batā
is kahānī meñ haiñ kitne dariyā
kashtī-e-nūh meñ baiThā huuñ maiñ kyā
pīchhe tūfāñ hai aur aage dariyā
Dūbne vaale batāte hī nahīñ
kis qadar hote haiñ gahre dariyā
bastiyāñ un ko bhī aatī haiñ nazar
itne andhe nahīñ hote dariyā
tū ne pāyāb kiyā hai mujh ko
maiñ huā kartā thā pahle dariyā
tū nahīñ jāntā paanī kī kashish
tū ne dekhe nahīñ aise dariyā
machhliyan jal machhere dariya
ye mere KHwab ye bahte dariya
barf pighli teri aahaT pa kar
teri aawaz pe jage dariya
ye rawani nahin dekhi hogi
tu ne dekhe hain bahut se dariya
jis ne dekhi nahin aankhen teri
wo kabhi sham ko dekhe dariya
kis ko kis par utarna hai bata
is kahani mein hain kitne dariya
kashti-e-nuh mein baiTha hun main kya
pichhe tufan hai aur aage dariya
Dubne wale batate hi nahin
kis qadar hote hain gahre dariya
bastiyan un ko bhi aati hain nazar
itne andhe nahin hote dariya
tu ne payab kiya hai mujh ko
main hua karta tha pahle dariya
tu nahin jaanta pani ki kashish
tu ne dekhe nahin aise dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.