madhosh kahin gham ki sharabon mein milenge
mad.hosh kahīñ ġham kī sharāboñ meñ mileñge
fankār haiñ ham ḳhāna-ḳharāboñ meñ mileñge
nā-qadrī-e-arbāb-e-hunar aaj hai lekin
kal ban ke sanad saarī kitāboñ meñ mileñge
Takrā ke pahāḌoñ se palaT aa.egī āvāz
ḳhud mere savālāt javāboñ meñ mileñge
jo log haiñ derīna rivāyāt ke qātil
tajdīd-e-ta.alluq ke azāboñ meñ mileñge
nafrat ke bhañvar ne jo Duboyā hameñ 'mahvar'
ab ham bhī mohabbat ke sarāboñ meñ mileñge
madhosh kahin gham ki sharabon mein milenge
fankar hain hum KHana-KHarabon mein milenge
na-qadri-e-arbab-e-hunar aaj hai lekin
kal ban ke sanad sari kitabon mein milenge
Takra ke pahaDon se palaT aaegi aawaz
KHud mere sawalat jawabon mein milenge
jo log hain derina riwayat ke qatil
tajdid-e-talluq ke azabon mein milenge
nafrat ke bhanwar ne jo Duboya hamein 'mahwar'
ab hum bhi mohabbat ke sarabon mein milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.