magar jo dil mein tha wo kah gai hai
magar jo dil meñ thā vo kah ga.ī hai
sadā ḳhāmosh ho ke rah ga.ī hai
abhī tak zikr hai lahroñ meñ us kā
vo mauj-e-ḳhair thī jo bah ga.ī hai
nichhāvar kar rahe the ham ġhamoñ ko
magar dīvār-e-girya Dhah ga.ī hai
ḳhudā ābād rakkhe zindagī ko
hamārī ḳhāmushī ko sah ga.ī hai
magar jo dil mein tha wo kah gai hai
sada KHamosh ho ke rah gai hai
abhi tak zikr hai lahron mein us ka
wo mauj-e-KHair thi jo bah gai hai
nichhawar kar rahe the hum ghamon ko
magar diwar-e-girya Dhah gai hai
KHuda aabaad rakkhe zindagi ko
hamari KHamushi ko sah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.