magar usko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai
magar us ko fareb-e-nargis-e-mastāna aatā hai
ulaTtī haiñ safeñ gardish meñ jab paimāna aatā hai
nihāyat dil ko hai marġhūb bosa ḳhāl-e-mushkīñ kā
dahan tak apne kab tak dekhiye ye daana aatā hai
ḳhushī se apnī rusvā.ī gavārā ho nahīñ saktī
garebāñ phāḌtā hai tang jab dīvāna aatā hai
firāq-e-yār meñ dil par nahīñ ma.alūm kyā guzrī
jo ashk āñkhoñ meñ aatā hai so betābāna aatā hai
bagūle kī tarah kis kis ḳhushī se ḳhaak uḌātā huuñ
talāsh-e-ganj meñ jo sāmne vīrāna aatā hai
samajhte haiñ mire dil kī vo kyā nā-fahm o nādāñ haiñ
huzūr-e-sham.a be-matlab nahīñ parvāna aatā hai
talab duniyā ko kar ke zan-murīdī ho nahīñ saktī
ḳhayāl-e-ābrū-e-himmat-e-mardāna aatā hai
hamesha fikr se yaañ āshiqāna sher Dhalte haiñ
zabāñ ko apnī bas ik husn kā afsāna aatā hai
tamāshā-gāh-e-hastī meñ adam kā dhyān hai kis ko
kise is anjuman meñ yaad ḳhalvat-ḳhāna aatā hai
sabā kī tarah har ik ġhairat-e-gul se haiñ lag chalte
mohabbat hai sarisht apnī hameñ yārāna aatā hai
ziyārat hogī kā'ba kī yahī ta.abīr hai is kī
ka.ī shab se hamāre ḳhvāb meñ but-ḳhāna aatā hai
ḳhayāl aayā hai ā.īna kā muñh us meñ vo dekheñge
ab uljhe baal sukhlāne kī ḳhātir shāna aatā hai
phañsā detā hai murġh-e-dil ko dām-e-zulf-e-pechāñ meñ
tumhāre ḳhāl-e-ruḳh ko bhī fareb-e-dāna aatā hai
itaab o lutf jo farmāo har sūrat se raazī haiñ
shikāyat se nahīñ vāqif hameñ shukrāna aatā hai
ḳhudā kā ghar hai but-ḳhāna hamārā dil nahīñ 'ātish'
maqām-e-āshnā hai yaañ nahīñ begāna aatā hai
magar us ko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai
ulaTti hain safen gardish mein jab paimana aata hai
nihayat dil ko hai marghub bosa KHal-e-mushkin ka
dahan tak apne kab tak dekhiye ye dana aata hai
KHushi se apni ruswai gawara ho nahin sakti
gareban phaDta hai tang jab diwana aata hai
firaq-e-yar mein dil par nahin malum kya guzri
jo ashk aankhon mein aata hai so betabana aata hai
bagule ki tarah kis kis KHushi se KHak uData hun
talash-e-ganj mein jo samne virana aata hai
samajhte hain mere dil ki wo kya na-fahm o nadan hain
huzur-e-shama be-matlab nahin parwana aata hai
talab duniya ko kar ke zan-muridi ho nahin sakti
KHayal-e-abru-e-himmat-e-mardana aata hai
hamesha fikr se yan aashiqana sher Dhalte hain
zaban ko apni bas ek husn ka afsana aata hai
tamasha-gah-e-hasti mein adam ka dhyan hai kis ko
kise is anjuman mein yaad KHalwat-KHana aata hai
saba ki tarah har ek ghairat-e-gul se hain lag chalte
mohabbat hai sarisht apni hamein yarana aata hai
ziyarat hogi ka'ba ki yahi tabir hai is ki
kai shab se hamare KHwab mein but-KHana aata hai
KHayal aaya hai aaina ka munh us mein wo dekhenge
ab uljhe baal sukhlane ki KHatir shana aata hai
phansa deta hai murgh-e-dil ko dam-e-zulf-e-pechan mein
tumhaare KHal-e-ruKH ko bhi fareb-e-dana aata hai
itab o lutf jo farmao har surat se raazi hain
shikayat se nahin waqif hamein shukrana aata hai
KHuda ka ghar hai but-KHana hamara dil nahin 'atish'
maqam-e-ashna hai yan nahin begana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.