maghribi sarmaya-dari lanat-e-shaitan hai
maġhribī sarmāya-dārī la.anat-e-shaitān hai
har nagar ke muflisoñ kī maut kā sāmān hai
rahnumāoñ ke kaḌe bahrūp se nālāñ huuñ maiñ
dil meñ hai millat-faroshī haath meñ qur.ān hai
ajnabī rahbar liye jaate haiñ ham ko jis taraf
raah to ābād hai manzil magar vīrān hai
chāñd ko ābād karne meñ vahī mashġhūl haiñ
hiroshima jin ke hāthoñ vādī-e-be-jān hai
maghribi sarmaya-dari lanat-e-shaitan hai
har nagar ke muflison ki maut ka saman hai
rahnumaon ke kaDe bahrup se nalan hun main
dil mein hai millat-faroshi hath mein quran hai
ajnabi rahbar liye jate hain hum ko jis taraf
rah to aabaad hai manzil magar viran hai
chand ko aabaad karne mein wahi mashghul hain
hiroshima jin ke hathon wadi-e-be-jaan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.