mah-jabinon ke jab payam aate
mah-jabīnoñ ke jab payām aate
ghar kahāñ ham ba-vaqt-e-shām aate
tum jo sunte to ġham sunāte tumheñ
tum bulāte to gām-gām aate
toḌā hotā mujhe salīqe se
mere TukḌe tumhāre kaam aate
ruuTh jaatī agar vo shahzādī
giit gaate hue ġhulām aate
be-zarūrat vo ham se kyoñ milte
be-sabab karne kyoñ salām aate
kabhī ham shā'iroñ kī mahfil meñ
tum bhī le kar koī kalām aate
zindagī tak to baañT dī ham ne
aur kyā ham kisī ke kaam ite
ḳhaas logoñ meñ ḳhaas rahte 'muqīm'
'aam logoñ meñ ban ke 'aam aate
mah-jabinon ke jab payam aate
ghar kahan hum ba-waqt-e-sham aate
tum jo sunte to gham sunate tumhein
tum bulate to gam-gam aate
toDa hota mujhe saliqe se
mere TukDe tumhaare kaam aate
ruTh jati agar wo shahzadi
git gate hue ghulam aate
be-zarurat wo hum se kyon milte
be-sabab karne kyon salam aate
kabhi hum sha'iron ki mahfil mein
tum bhi le kar koi kalam aate
zindagi tak to banT di hum ne
aur kya hum kisi ke kaam ite
KHas logon mein KHas rahte 'muqim'
'am logon mein ban ke 'am aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.