Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki

Tahseen Firaqi

mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki

Tahseen Firaqi

MORE BYTahseen Firaqi

    mah-o-anjum ne qabā to tumhāre liye

    chāñd chehroñ pe ridā to tumhāre liye

    vo bhī thā mauj meñ ye dil bhī bahakne ko thā

    apne hāthoñ ne hayā to tumhāre liye

    koh-o-sahrā meñ bhaTakte sar-e-sāhil phirte

    maiñ ne har gaam sadā to tumhāre liye

    dil ke is tapte hue tund bayābāñ ke biich

    maiñ ne ik nahr banā to tumhāre liye

    mujh se thā barsar-e-kīñ rabt-e-nihāñ tum se thā

    dil ne gar tum se vafā to tumhāre liye

    raat mavvāj thī jab haath uThe us ke huzūr

    sab se pahle jo duā to tumhāre liye

    maiñ kahāñ aur kahāñ shā.erī maiñ ne to faqat

    majlis-e-sher bapā to tumhāre liye

    mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki

    chand chehron pe rida ki to tumhaare liye ki

    wo bhi tha mauj mein ye dil bhi bahakne hi ko tha

    apne hathon ne haya ki to tumhaare liye ki

    koh-o-sahra mein bhaTakte sar-e-sahil phirte

    main ne har gam sada ki to tumhaare liye ki

    dil ke is tapte hue tund bayaban ke bich

    main ne ek nahr bana ki to tumhaare liye ki

    mujh se tha barsar-e-kin rabt-e-nihan tum se tha

    dil ne gar tum se wafa ki to tumhaare liye ki

    raat mawwaj thi jab hath uThe us ke huzur

    sab se pahle jo dua ki to tumhaare liye ki

    main kahan aur kahan shaeri main ne to faqat

    majlis-e-sher bapa ki to tumhaare liye ki

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 392)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now