mah-o-nujum ki surat safar mein rahte hain
mah-o-nujūm kī sūrat safar meñ rahte haiñ
ki shab-gazīda talāsh-e-sahar meñ rahte haiñ
hamārā aql se kuchh rabt hī nahīñ jaise
junūñ-asīr haiñ dil ke asar meñ rahte haiñ
na koī chhat hai na dīvār hai na darvāza
ye mo.ajiza hai ki ham aise ghar meñ rahte haiñ
vafā-talab to bahut haiñ vafā-shi.ār nahīñ
ye kis jahāñ meñ haiñ ham kis nagar meñ rahte haiñ
bichhaḌ ke donoñ hī ābād haiñ ḳhudā shāhid
vo apne ghar meñ to ham apne ghar meñ rahte haiñ
unhīñ se tāzgī-e-zehn hai nasīb mujhe
gulāb chehre hamesha nazar meñ rahte haiñ
jahāñ se rabt na koī ta.alluq apnā 'ḳhatīb'
ham ahl-e-ishq sadā ḳhvāb-asar meñ rahte haiñ
mah-o-nujum ki surat safar mein rahte hain
ki shab-gazida talash-e-sahar mein rahte hain
hamara aql se kuchh rabt hi nahin jaise
junun-asir hain dil ke asar mein rahte hain
na koi chhat hai na diwar hai na darwaza
ye moajiza hai ki hum aise ghar mein rahte hain
wafa-talab to bahut hain wafa-shiar nahin
ye kis jahan mein hain hum kis nagar mein rahte hain
bichhaD ke donon hi aabaad hain KHuda shahid
wo apne ghar mein to hum apne ghar mein rahte hain
unhin se tazgi-e-zehn hai nasib mujhe
gulab chehre hamesha nazar mein rahte hain
jahan se rabt na koi talluq apna 'KHatib'
hum ahl-e-ishq sada KHwab-asar mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.