mahakta hua aaj sara chaman hai
mahaktā huā aaj saarā chaman hai
bahāroñ kā maskan mirā hī vatan hai
guloñ kā jo nikhrā huā sā badan hai
'ajab hai nazākat ġhazab bāñkpan hai
suḳhan kā ye rasta bahut hī kaThin hai
magar har suḳhanvar isī meñ magan hai
to jā.ūñ kahāñ us galī se jo niklūñ
kahīñ bhī rukūñ maiñ usī kī lagan hai
khaḌe haiñ pareshāñ yahāñ par sabhī jo
jahāñ dekhte haiñ fazā meñ ghuTan hai
ba-zāhir jo karte haiñ ulfat kī bāteñ
unhī ke diloñ meñ hasad hai jalan hai
'hinā' tum batā do kahāñ hai vo manzil
ye rasta hai kaisā ye kaisī thakan hai
mahakta hua aaj sara chaman hai
bahaaron ka maskan mera hi watan hai
gulon ka jo nikhra hua sa badan hai
'ajab hai nazakat ghazab bankpan hai
suKHan ka ye rasta bahut hi kaThin hai
magar har suKHanwar isi mein magan hai
to jaun kahan us gali se jo niklun
kahin bhi rukun main usi ki lagan hai
khaDe hain pareshan yahan par sabhi jo
jahan dekhte hain faza mein ghuTan hai
ba-zahir jo karte hain ulfat ki baaten
unhi ke dilon mein hasad hai jalan hai
'hina' tum bata do kahan hai wo manzil
ye rasta hai kaisa ye kaisi thakan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.