mahakte lafzon mein shamil hai rang-o-bu kis ki
mahakte lafzoñ meñ shāmil hai rañg-o-bū kis kī
ye mere sheroñ meñ hotī hai guftugū kis kī
vo dil kī aag to yārab kabhī kī sard huī
magar in āñkhoñ ko ab bhī hai justujū kis kī
mirā vajūd to ab tak sahī salāmat hai
havā meñ ḳhaak ye uḌtī hai kū-ba-kū kis kī
agar vo lauT ke aayā nahīñ to batlānā
ye ḳhushbū phailī hai āñgan meñ chaar sū kis kī
tū apne aap se bezār to nahīñ 'fārūq'
tire mizāj meñ āḳhir ye aa.ī ḳhū kis kī
mahakte lafzon mein shamil hai rang-o-bu kis ki
ye mere sheron mein hoti hai guftugu kis ki
wo dil ki aag to yarab kabhi ki sard hui
magar in aankhon ko ab bhi hai justuju kis ki
mera wajud to ab tak sahi salamat hai
hawa mein KHak ye uDti hai ku-ba-ku kis ki
agar wo lauT ke aaya nahin to batlana
ye KHushbu phaili hai aangan mein chaar su kis ki
tu apne aap se bezar to nahin 'faruq'
tere mizaj mein aaKHir ye aai KHu kis ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.