mahakte miThe mastane zamane
mahakte mīThe mastāne zamāne
kab ā.eñge vo man-māne zamāne
jo mere kunj-e-dil meñ gūñjte haiñ
nahīñ dekhe vo duniyā ne zamāne
tirī palkoñ kī jumbish se jo Tapkā
usī ik pal ke afsāne zamāne
tirī sāñsoñ kī sauġhāteñ bahāreñ
tirī nazroñ ke nazrāne zamāne
kabhī to merī duniyā se bhī guzro
liye āñkhoñ meñ anjāne zamāne
unhī kī zindagī jo chal paḌe haiñ
tirī maujoñ se Takrāne zamāne
maiñ fikr-e-rāz-e-hastī kā parastār
mirī tasbīh ke daane zamāne
mahakte miThe mastane zamane
kab aaenge wo man-mane zamane
jo mere kunj-e-dil mein gunjte hain
nahin dekhe wo duniya ne zamane
teri palkon ki jumbish se jo Tapka
usi ek pal ke afsane zamane
teri sanson ki saughaten bahaaren
teri nazron ke nazrane zamane
kabhi to meri duniya se bhi guzro
liye aankhon mein anjaane zamane
unhi ki zindagi jo chal paDe hain
teri maujon se Takrane zamane
main fikr-e-raaz-e-hasti ka parastar
meri tasbih ke dane zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.