mahdud hai ye wusat-e-alam bhi nazar mein
mahdūd hai ye vus.at-e-ālam bhī nazar meñ
gum ho gayā huuñ aisā tirī rāhguzar meñ
maiñ kashmakash-e-dahr se be-ilm huuñ ab tak
tū ḳhud hī batā kaun hai har chiiz meñ shar meñ
duniyā mire me.aar pe utregī na tā-umr
ye to hai khilaunā mirī nam-dīda nazar meñ
anqā hai zamāne se musāvāt-o-uḳhuvvat
ausāf-e-bashar DhūñDne nikle ho bashar meñ
taḳh.īl mirī arsh kā rakhtī hai taqaddus
hai rif.at-e-aflāk mirī fikr ke par meñ
le jā.egā tū mujh ko kahāñ ai ġham-e-hastī
saaya bhī mirā saath nahīñ ab to safar meñ
hai naqsh-e-kaf-e-pā tirā manzil kī bashārat
ab qāfile Thahreñge mirī rāhguzar meñ
sheroñ meñ 'nishāt' apne vo lāoge kahāñ se
jo rang taġhazzul kā hai naġhmāt-e-‘jigar’ meñ
mahdud hai ye wusat-e-alam bhi nazar mein
gum ho gaya hun aisa teri rahguzar mein
main kashmakash-e-dahr se be-ilm hun ab tak
tu KHud hi bata kaun hai har chiz mein shar mein
duniya mere mear pe utregi na ta-umr
ye to hai khilauna meri nam-dida nazar mein
anqa hai zamane se musawat-o-uKHuwwat
ausaf-e-bashar DhunDne nikle ho bashar mein
taKHil meri arsh ka rakhti hai taqaddus
hai rifat-e-aflak meri fikr ke par mein
le jaega tu mujh ko kahan ai gham-e-hasti
saya bhi mera sath nahin ab to safar mein
hai naqsh-e-kaf-e-pa tera manzil ki bashaarat
ab qafile Thahrenge meri rahguzar mein
sheron mein 'nishat' apne wo laoge kahan se
jo rang taghazzul ka hai naghmat-e-‘jigar’ mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.