mahfil-e-hasti mein hum fikr-e-suKHan karte rahe
mahfil-e-hastī meñ ham fikr-e-suḳhan karte rahe
kashmakash meñ bhī ḳhayāl-e-anjuman karte rahe
bārhā gul-chīñ ne lalkārā hamāre azm ko
be-muhābā ham magar nazm-e-chaman karte rahe
maiñ to sab ke chāk-e-dāman par rafū kartā rahā
ahl-e-duniyā chaak merā pairahan karte rahe
ham-vatan samjhā kiye nang-e-vatan ham ko magar
sarfaroshī kuchh hamīñ bahar-e-vatan karte rahe
ḳhatm kab hotā hai dekheñ imtihāñ kā silsila
aaj tak ham izzat-e-dār-o-rasan karte rahe
kyā kahūñ is daur-e-nau ke rahbaroñ kā mājrā
ye bhī vo karte rahe jo rāhzan karte rahe
mahfil-e-hasti mein hum fikr-e-suKHan karte rahe
kashmakash mein bhi KHayal-e-anjuman karte rahe
barha gul-chin ne lalkara hamare azm ko
be-muhaba hum magar nazm-e-chaman karte rahe
main to sab ke chaak-e-daman par rafu karta raha
ahl-e-duniya chaak mera pairahan karte rahe
ham-watan samjha kiye nang-e-watan hum ko magar
sarfaroshi kuchh hamin bahar-e-watan karte rahe
KHatm kab hota hai dekhen imtihan ka silsila
aaj tak hum izzat-e-dar-o-rasan karte rahe
kya kahun is daur-e-nau ke rahbaron ka majra
ye bhi wo karte rahe jo rahzan karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.