mahfil-e-ishq mein jab nam tera lete hain
mahfil-e-ishq meñ jab naam tirā lete haiñ
pahle ham hosh ko dīvāna banā lete haiñ
roz ik dard tamannā se nayā lete haiñ
ham yūñhī zindagī-e-ishq baḌhā lete haiñ
dekhte rahte haiñ chhup-chhup ke muraqqa.a terā
kabhī aatī hai havā bhī to chhupā lete haiñ
rañg bharte haiñ vafā kā jo tasavvur meñ tire
tujh se achchhī tirī tasvīr banā lete haiñ
de hī dete haiñ kisī tarah tasallī 'sīmāb'
ḳhush raheñ vo jo mire dil kī duā lete haiñ
mahfil-e-ishq mein jab nam tera lete hain
pahle hum hosh ko diwana bana lete hain
roz ek dard tamanna se naya lete hain
hum yunhi zindagi-e-ishq baDha lete hain
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqa tera
kabhi aati hai hawa bhi to chhupa lete hain
rang bharte hain wafa ka jo tasawwur mein tere
tujh se achchhi teri taswir bana lete hain
de hi dete hain kisi tarah tasalli 'simab'
KHush rahen wo jo mere dil ki dua lete hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 248)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.