mahfil-e-zist mein dekhe hain andhere barson
mahfil-e-zist mein dekhe hain andhere barson
Ayyub Qasim Karjikar
MORE BYAyyub Qasim Karjikar
mahfil-e-zīst meñ dekhe haiñ añdhere barsoñ
taare gin gin ke kiye ham ne savere barsoñ
ranj-o-ġham ishq-e-sanam tishna-labī nīm-shabī
dil-e-nāzuk ko ye hālāt the ghere barsoñ
kyoñ na ho ḳhauf-zada log nigahbānoñ se
lūTte aa.e haiñ sab ko ye luTere barsoñ
nām-e-ulfat hī se ab hotī hai dil ko vahshat
ham ko Dastī rahī ye shaam savere barsoñ
kūcha-e-yār meñ rusvā.ī ne rahne na diyā
dasht-o-sahrā meñ lagāte rahe phere barsoñ
pārsā.ī kā sabaq ham ko diyā thā jis ne
ġhair ke ghar meñ kiye us ne basere barsoñ
ūñche mahloñ meñ unheñ chain na aayā 'ayyūb'
chaar tinkoñ pe kiye ham ne basere barsoñ
mahfil-e-zist mein dekhe hain andhere barson
tare gin gin ke kiye hum ne sawere barson
ranj-o-gham ishq-e-sanam tishna-labi nim-shabi
dil-e-nazuk ko ye haalat the ghere barson
kyon na ho KHauf-zada log nigahbanon se
luTte aae hain sab ko ye luTere barson
nam-e-ulfat hi se ab hoti hai dil ko wahshat
hum ko Dasti rahi ye sham sawere barson
kucha-e-yar mein ruswai ne rahne na diya
dasht-o-sahra mein lagate rahe phere barson
parsai ka sabaq hum ko diya tha jis ne
ghair ke ghar mein kiye us ne basere barson
unche mahlon mein unhen chain na aaya 'ayyub'
chaar tinkon pe kiye hum ne basere barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.