mahfil-faroz jalwa-e-jaanana ho chuka
mahfil-faroz jalva-e-jānāna ho chukā
dīvāna dil ko honā thā dīvāna ho chukā
sīkhe tirī nigāh se ādāb-e-ḳhāmushī
ab mujh se koī na.ara-e-mastāna ho chukā
bikhre chaman meñ phuul to aatā hai mujh ko yaad
vo mausam-e-bahār ki afsāna ho chukā
us bad-nasīb ko kahīñ miltī nahīñ panāh
jo terī bārgāh se begāna ho chukā
aaya hamāre jiine kā andāz sab ko yaad
jab zikr-e-jāñ-nisārī-e-parvāna ho chukā
kuchh roz āstān-e-dar-e-yār bhī sahī
'ābid' tavāf-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ho chukā
mahfil-faroz jalwa-e-jaanana ho chuka
diwana dil ko hona tha diwana ho chuka
sikhe teri nigah se aadab-e-KHamushi
ab mujh se koi nara-e-mastana ho chuka
bikhre chaman mein phul to aata hai mujh ko yaad
wo mausam-e-bahaar ki afsana ho chuka
us bad-nasib ko kahin milti nahin panah
jo teri bargah se begana ho chuka
aaya hamare jine ka andaz sab ko yaad
jab zikr-e-jaan-nisari-e-parwana ho chuka
kuchh roz aastan-e-dar-e-yar bhi sahi
'abid' tawaf-e-kaba-o-but-KHana ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.