mahfil mein aate jate hain insan nae nae
mahfil meñ aate jaate haiñ insāñ na.e na.e
ab to chalan liye haiñ mirī jaañ na.e na.e
us zulf o ruḳh ke ishq kā charchā huā ye kuchh
hairāñ na.e na.e haiñ pareshāñ na.e na.e
aa aa ke apnī apnī sunātā hai har koī
zaḳhm-e-jigar pe haiñ namak-afshāñ na.e na.e
mujh ko sunā ke kahte haiñ logoñ ko is se kyā
andāz ham ne sīkhe haiñ haañ haañ na.e na.e
aa jaa.eñ ham bhī yaad kisī baat par kabhī
āshiq hue haiñ ab to mirī jaañ na.e na.e
har dam na.ī na.ī hai ḳhalish merī jaan ko
laatī hai ranj-o-ġham shab-e-hijrāñ na.e na.e
bātoñ par un kī kyuuñ na yaqīn aa.e phir mujhe
qasmeñ na.ī na.ī haiñ to paimāñ na.e na.e
gar ab ke vasl ho to na mānūñ meñ ek bhī
dil ke nikālūñ hasrat-o-armāñ na.e na.e
sau sau tarah satātī hai ik ik kī yaad ab
shab aap ne kiye the jo ehsāñ na.e na.e
kis kis kī roz roz ḳhushāmad kiyā kareñ
hote haiñ un ke dar pe to darbāñ na.e na.e
ummīd bhī kabhī kabhī naumīdī hai mujhe
dikhlātī rañg hai shab-e-hijrāñ na.e na.e
koī to aaj aa.egā phir kis liye 'nizām'
tajvīzeñ haiñ na.ī na.ī sāmāñ na.e na.e
mahfil mein aate jate hain insan nae nae
ab to chalan liye hain meri jaan nae nae
us zulf o ruKH ke ishq ka charcha hua ye kuchh
hairan nae nae hain pareshan nae nae
aa aa ke apni apni sunata hai har koi
zaKHm-e-jigar pe hain namak-afshan nae nae
mujh ko suna ke kahte hain logon ko is se kya
andaz hum ne sikhe hain han han nae nae
aa jaen hum bhi yaad kisi baat par kabhi
aashiq hue hain ab to meri jaan nae nae
har dam nai nai hai KHalish meri jaan ko
lati hai ranj-o-gham shab-e-hijran nae nae
baaton par un ki kyun na yaqin aae phir mujhe
qasmen nai nai hain to paiman nae nae
gar ab ke wasl ho to na manun mein ek bhi
dil ke nikalun hasrat-o-arman nae nae
sau sau tarah satati hai ek ek ki yaad ab
shab aap ne kiye the jo ehsan nae nae
kis kis ki roz roz KHushamad kiya karen
hote hain un ke dar pe to darban nae nae
ummid bhi kabhi kabhi naumidi hai mujhe
dikhlati rang hai shab-e-hijran nae nae
koi to aaj aaega phir kis liye 'nizam'
tajwizen hain nai nai saman nae nae
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 340)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.