mahfil mein raat raat ujala usi ka hai
Interesting Fact
Dedicated to Shamim Hanafi
mahfil meñ raat raat ujālā usī kā hai
sāġhar kī gardishoñ meñ havāla usī kā hai
us rañg-chor ne to dhanak ko churā liyā
aayā hai chāñdnī meñ to haala usī kā hai
ham to akele roz ulajhte haiñ ḳhvāb se
kuchh bojh zindagī kā sambhālā usī kā hai
dar dar bhaTakte rahne kī aadat nahīñ magar
mahfil se ye ġharīb nikālā usī kā hai
'ārif' 'shamīm' saath chaleñ raat ho ga.ī
raste meñ chāñd taarā uchhālā usī kā hai
mahfil mein raat raat ujala usi ka hai
saghar ki gardishon mein hawala usi ka hai
us rang-chor ne to dhanak ko chura liya
aaya hai chandni mein to haala usi ka hai
hum to akele roz ulajhte hain KHwab se
kuchh bojh zindagi ka sambhaala usi ka hai
dar dar bhaTakte rahne ki aadat nahin magar
mahfil se ye gharib nikala usi ka hai
'arif' 'shamim' sath chalen raat ho gai
raste mein chand tara uchhaala usi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.