mahfilon ke darmiyan tanhaiyon ke darmiyan
mahfiloñ ke darmiyāñ tanhā.iyoñ ke darmiyāñ
zindagī guzregī kab tak vāhimoñ ke darmiyāñ
kuchh adhūre rang haiñ kuchh nā-mukammal aks haiñ
ḳhvāb zinda haiñ shikasta ā.inoñ ke darmiyāñ
dostī aur raushnī ke dā.ere haiñ muḳhtalif
ham sabhī maujūd haiñ in dā.eroñ ke darmiyāñ
ham to samjhe the ki ham āsūda-e-manzil hue
ik paḌāv aa gayā hai hijratoñ ke darmiyāñ
zindagī kār-e-musalsal hai to kaT hī jā.egī
chand yādoñ ke sahāre vahshatoñ ke darmiyāñ
vo bahut ma.asūm hai lekin use mālūm hai
dūsrā koī nahīñ hai dhaḌkanoñ ke darmiyāñ
ranjishoñ ke silsile yūñhī sadā baḌhte nahīñ
tīsrā koī to hai do bhā.iyoñ ke darmiyāñ
mahfilon ke darmiyan tanhaiyon ke darmiyan
zindagi guzregi kab tak wahimon ke darmiyan
kuchh adhure rang hain kuchh na-mukammal aks hain
KHwab zinda hain shikasta aainon ke darmiyan
dosti aur raushni ke daere hain muKHtalif
hum sabhi maujud hain in daeron ke darmiyan
hum to samjhe the ki hum aasuda-e-manzil hue
ek paDaw aa gaya hai hijraton ke darmiyan
zindagi kar-e-musalsal hai to kaT hi jaegi
chand yaadon ke sahaare wahshaton ke darmiyan
wo bahut masum hai lekin use malum hai
dusra koi nahin hai dhaDkanon ke darmiyan
ranjishon ke silsile yunhi sada baDhte nahin
tisra koi to hai do bhaiyon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.