mahfilon mein zikr us ka jab chhiDa mere liye
mahfiloñ meñ zikr us kā jab chhiḌā mere liye
pūchhtā har ek se dil kyā kahā mere liye
kyā marāThī aur urdu ziist ke mīzān meñ
ek ghar paanī hai to duuje havā mere liye
jab kabhī āvāz dī tū ne mujhe to ye lagā
dair kī ho ghanTiyāñ terī sadā mere liye
safha-e-hastī pe likkhā be-ḳhudī meñ ek naam
saañs lene kā sabab vo ban gayā mere liye
jab kahā us ne ki do hai jism apne ek jaan
ye purānā khel par khelā nayā mere liye
mahfilon mein zikr us ka jab chhiDa mere liye
puchhta har ek se dil kya kaha mere liye
kya maraThi aur urdu zist ke mizan mein
ek ghar pani hai to duje hawa mere liye
jab kabhi aawaz di tu ne mujhe to ye laga
dair ki ho ghanTiyan teri sada mere liye
safha-e-hasti pe likkha be-KHudi mein ek nam
sans lene ka sabab wo ban gaya mere liye
jab kaha us ne ki do hai jism apne ek jaan
ye purana khel par khela naya mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.