mahngai ka ab aaya hai tufan yaqinan
mahñgā.ī kā ab aayā hai tūfān yaqīnan
toḌe haiñ hukmarānoñ ne paimān yaqīnan
mazdūr ko pāband kiyā ghar pe biThāyā
do vaqt kī ab us ko nahīñ naan yaqīnan
insān kī tauhīn kabhī itnī nahīñ thī
roTī hai girāñ ḳhuun hai arzān yaqīnan
jis hukm pe dahqān kī mehnat kā sila zabt
tahqīr ke laa.eq hai vo farmān yaqīnan
jis gaañv meñ iflās meñ din ham ne guzāre
ab hoñge vahāñ maut ke sāmān yaqīnan
har zulm pe jab band rakhe aañkh qayādat
tab taḳht ke taḳhte kā hai imkān yaqīnan
jis shaḳhs ne tanvīr mujhe ilm kī baḳhshī
us kā hai baḌā mujh pe ye ehsān yaqīnan
jo dil ke khare un pe kaḌā vaqt bhale ho
manzil bhī magar un kī hai āsān yaqīnan
ai des kī miTTī tujhe shādāb rakheñge
dahqān baḌhā.eñge tirī shaan yaqīnan
mahngai ka ab aaya hai tufan yaqinan
toDe hain hukmaranon ne paiman yaqinan
mazdur ko paband kiya ghar pe biThaya
do waqt ki ab us ko nahin nan yaqinan
insan ki tauhin kabhi itni nahin thi
roTi hai giran KHun hai arzan yaqinan
jis hukm pe dahqan ki mehnat ka sila zabt
tahqir ke laeq hai wo farman yaqinan
jis ganw mein iflas mein din hum ne guzare
ab honge wahan maut ke saman yaqinan
har zulm pe jab band rakhe aankh qayaadat
tab taKHt ke taKHte ka hai imkan yaqinan
jis shaKHs ne tanwir mujhe ilm ki baKHshi
us ka hai baDa mujh pe ye ehsan yaqinan
jo dil ke khare un pe kaDa waqt bhale ho
manzil bhi magar un ki hai aasan yaqinan
ai des ki miTTi tujhe shadab rakhenge
dahqan baDhaenge teri shan yaqinan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.