mahram-e-ishq hain honTon ko siye baiThe hain
mahram-e-ishq haiñ hoñToñ ko siye baiThe haiñ
shīsha-e-dil meñ ka.ī daaġh liye baiThe haiñ
māh-o-anjum pe pahuñch kar bhī nahīñ ruktī nazar
ruḳh kisī aur hī manzil kā kiye baiThe haiñ
ab to kuchh aur hī aalam hai faroġh-e-ġham se
sūrat-e-jāñ tire har ġham ko liye baiThe haiñ
bhūltā hī nahīñ us nargis-e-shahlā kā karam
ek mai hai ki shab-o-roz piye baiThe haiñ
ek hī shakl hai sau rang se dil meñ ābād
ek hī aks ke sau aks liye baiThe haiñ
jab se chhoḌī hai tamannā-e-sukūñ ai 'az.har'
har kaThin raah ko hamvār kiye baiThe haiñ
mahram-e-ishq hain honTon ko siye baiThe hain
shisha-e-dil mein kai dagh liye baiThe hain
mah-o-anjum pe pahunch kar bhi nahin rukti nazar
ruKH kisi aur hi manzil ka kiye baiThe hain
ab to kuchh aur hi aalam hai farogh-e-gham se
surat-e-jaan tere har gham ko liye baiThe hain
bhulta hi nahin us nargis-e-shahla ka karam
ek mai hai ki shab-o-roz piye baiThe hain
ek hi shakl hai sau rang se dil mein aabaad
ek hi aks ke sau aks liye baiThe hain
jab se chhoDi hai tamanna-e-sukun ai 'azhar'
har kaThin rah ko hamwar kiye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.