mahrumiyat pe kis liye karte ho tum qalaq
mahrūmiyat pe kis liye karte ho tum qalaq
ab baḌh ke chhīn lenā hai zālim se apnā haq
mere ḳhilāf kahtā hai jo kuchh bhī vo kabhī
har lafz us kā hotā hai ḳhud us pe muntabaq
sāda-mizāj rakhtī hai merī har ik ġhazal
hotā nahīñ hai sheroñ meñ ik lafz bhī adaq
vo muskurā uThe to mujhe is tarah lagā
chehre pe jaise aa ga.ī rangīnī-e-shafaq
sho.ale ta.assubāt ke bhaḌkā rahe haiñ vo
nafrat kī pāThshāla meñ lete haiñ jo sabaq
likkhā hai un kā naam baḌe ehtirām se
apnī bayāz-e-dil kā hai raushan har ik varaq
e.ajāz ye bhī dekhā hai ahal-e-jahān ne
angusht ke ishāre qamar ho gayā thā shaq
ā.īna apne sher ko karne lagā huuñ maiñ
chehra mire harīf kā hone lagā hai faq
phir dhuup se paḌegā mujhe vāsta 'sa.īd'
merī nazar ke aage hai sahrā-e-laqq-o-daq
mahrumiyat pe kis liye karte ho tum qalaq
ab baDh ke chhin lena hai zalim se apna haq
mere KHilaf kahta hai jo kuchh bhi wo kabhi
har lafz us ka hota hai KHud us pe muntabaq
sada-mizaj rakhti hai meri har ek ghazal
hota nahin hai sheron mein ek lafz bhi adaq
wo muskura uThe to mujhe is tarah laga
chehre pe jaise aa gai rangini-e-shafaq
shoale tassubaat ke bhaDka rahe hain wo
nafrat ki paThshaala mein lete hain jo sabaq
likkha hai un ka nam baDe ehtiram se
apni bayaz-e-dil ka hai raushan har ek waraq
eajaz ye bhi dekha hai ahal-e-jahan ne
angusht ke ishaare qamar ho gaya tha shaq
aaina apne sher ko karne laga hun main
chehra mere harif ka hone laga hai faq
phir dhup se paDega mujhe wasta 'said'
meri nazar ke aage hai sahra-e-laqq-o-daq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.