mahrumiyon ka dil par itna hai kuchh asar sa
mahrūmiyoñ kā dil par itnā hai kuchh asar sā
chāhat ke naam se bhī lagne lagā hai Dar sā
ik aah meñ Dhalī hai rūdād-e-zindagānī
umr-e-tavīl kā hai afsāna muḳhtasar sā
ruḳhsat huā hai dil se har shauq rafta rafta
ye shahr-e-ārzū bhī bantā chalā khañDar sā
aatā hai dhyān un kā yuuñ dasht-e-zindagī meñ
zulmat meñ shab kī jaise ho jalva-e-sahar sā
āsūdgi-e-ġham ne kitnā surūr baḳhshā
apne vajūd se bhī rahtā huuñ be-ḳhabar sā
andāz-e-pursish-e-ġham thā dil-fareb kitnā
vo dushman-e-tamannā lagtā thā chārāgar sā
ashkoñ ne zabt-e-ġham kī rakkhī hai laaj har dam
sau baar ghir ke aayā bādal magar na barsā
rāh-e-hayāt meñ ham tanhā nahīñ 'mubārak'
un kā ḳhayāl har dam rahtā hai ham-safar sā
mahrumiyon ka dil par itna hai kuchh asar sa
chahat ke nam se bhi lagne laga hai Dar sa
ek aah mein Dhali hai rudad-e-zindagani
umr-e-tawil ka hai afsana muKHtasar sa
ruKHsat hua hai dil se har shauq rafta rafta
ye shahr-e-arzu bhi banta chala khanDar sa
aata hai dhyan un ka yun dasht-e-zindagi mein
zulmat mein shab ki jaise ho jalwa-e-sahar sa
aasudgi-e-gham ne kitna surur baKHsha
apne wajud se bhi rahta hun be-KHabar sa
andaz-e-pursish-e-gham tha dil-fareb kitna
wo dushman-e-tamanna lagta tha chaaragar sa
ashkon ne zabt-e-gham ki rakkhi hai laj har dam
sau bar ghir ke aaya baadal magar na barsa
rah-e-hayat mein hum tanha nahin 'mubarak'
un ka KHayal har dam rahta hai ham-safar sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.