mahshar-e-hijr tera surat-e-KHas samne hai
mahshar-e-hijr tirā sūrat-e-ḳhas sāmne hai
ik baras biit gayā ek baras sāmne hai
sūrat-e-ishva-e-ḳhāshāk hai āvāra vajūd
kyā sambhal pā.egā dariyā-e-havas sāmne hai
harf-e-shart aatā hai jab terī zabāñ par sar-e-shām
aisā lagtā hai ki ik aur qafas sāmne hai
jaane kis vaqt ye uḌ kar mire dil tak pahuñche
manzileñ duur haiñ āzār-e-jaras sāmne hai
is kā honā bhī na hone kī tarah hai 'āfāq'
is tarah hai vo mire sāmne bas sāmne hai
mahshar-e-hijr tera surat-e-KHas samne hai
ek baras bit gaya ek baras samne hai
surat-e-ishwa-e-KHashak hai aawara wajud
kya sambhal paega dariya-e-hawas samne hai
harf-e-shart aata hai jab teri zaban par sar-e-sham
aisa lagta hai ki ek aur qafas samne hai
jaane kis waqt ye uD kar mere dil tak pahunche
manzilen dur hain aazar-e-jaras samne hai
is ka hona bhi na hone ki tarah hai 'afaq'
is tarah hai wo mere samne bas samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.