mahshar ki is ghaDi mein hamara koi to ho
mahshar kī is ghaḌī meñ hamārā koī to ho
ai raat ai firāq ḳhudārā koī to ho
ye bad-duā nahīñ magar is dil kā ham-navā
koī to ho nasīb kā maarā koī to ho
tinkā hai āshiyāne kī kyā ḳhuub yādgār
achchhā hai Dūbte ko sahārā koī to ho
sarkār haath paañv to sab de ga.e javāb
is nā-murād dil kā bhī chārā koī to ho
kyā hijr kyā visāl vahī āshiqoñ kā haal
āḳhir qarār meñ bhī bechārā koī to ho
'rāhīl' ġham ke ba.ad ḳhushī bhī mile magar
is bahr-e-be-karāñ kā kinārā koī to ho
mahshar ki is ghaDi mein hamara koi to ho
ai raat ai firaq KHudara koi to ho
ye bad-dua nahin magar is dil ka ham-nawa
koi to ho nasib ka mara koi to ho
tinka hai aashiyane ki kya KHub yaadgar
achchha hai Dubte ko sahaara koi to ho
sarkar hath panw to sab de gae jawab
is na-murad dil ka bhi chaara koi to ho
kya hijr kya visal wahi aashiqon ka haal
aaKHir qarar mein bhi bechaara koi to ho
'rahil' gham ke baad KHushi bhi mile magar
is bahr-e-be-karan ka kinara koi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.