mahw aisa teri surat mein hai shaida tera
mahv aisā tirī sūrat meñ hai shaidā terā
dekhtā hai vo har ik shakl meñ jalva terā
hai jo kuchh ālam-e-fānī meñ vo sab terā hai
jab se ham bole yahī bole ki terā terā
tū kahīñ ho maiñ tujhe DhūñD nikālūñgā zarūr
tū hai matlūb mirā aur maiñ joyā terā
terī tasvīr meñ ai jaañ nazar aa.ī mirī shakl
merī sūrat meñ nazar aaya jalva terā
chāk-dāmānī-e-āshiq ne ġhazab kar Daalā
ai mire parda-nashīñ khul gayā parda terā
dil bhī raushan tire jalve se hai aur āñkheñ bhī
har jagah nuur na.ī shaan se chamkā terā
tū ho jis rang meñ pahchāntā huuñ maiñ tujh ko
kabhī dhokā nahīñ khātā hai shanāsā terā
aa.ina hai ye isī meñ nazar aa.egī vo shakl
dekh ai tālib-e-haq dil ho na mailā terā
naam ginvāne ko yuuñ to haiñ bahut ahl-e-nazar
mirī jaañ par tirā 'akbar' hī hai shaidā terā
mahw aisa teri surat mein hai shaida tera
dekhta hai wo har ek shakl mein jalwa tera
hai jo kuchh aalam-e-fani mein wo sab tera hai
jab se hum bole yahi bole ki tera tera
tu kahin ho main tujhe DhunD nikalunga zarur
tu hai matlub mera aur main joya tera
teri taswir mein ai jaan nazar aai meri shakl
meri surat mein nazar aaya jalwa tera
chaak-damani-e-ashiq ne ghazab kar Dala
ai mere parda-nashin khul gaya parda tera
dil bhi raushan tere jalwe se hai aur aankhen bhi
har jagah nur nai shan se chamka tera
tu ho jis rang mein pahchanta hun main tujh ko
kabhi dhoka nahin khata hai shanasa tera
aaina hai ye isi mein nazar aaegi wo shakl
dekh ai talib-e-haq dil ho na maila tera
nam ginwane ko yun to hain bahut ahl-e-nazar
meri jaan par tera 'akbar' hi hai shaida tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.