mahw-e-fariyaad ho gaya hai dil
mahv-e-fariyād ho gayā hai dil
aah barbād ho gayā hai dil
sīna-kāvī meñ apne nāḳhun se
rashk-e-farhād ho gayā hai dil
dekhte dekhte sitam terā
saḳht nāshād ho gayā hai dil
karte hī karte tere qad kā ḳhayāl
misl-e-shamshād ho gayā hai dil
ho ke pāband tere kākul se
sar se āzād ho gayā hai dil
ulfat-e-ahl-e-bait se 'āgāh'
Hyderabad ho gayā hai dil
mahw-e-fariyaad ho gaya hai dil
aah barbaad ho gaya hai dil
sina-kawi mein apne naKHun se
rashk-e-farhad ho gaya hai dil
dekhte dekhte sitam tera
saKHt nashad ho gaya hai dil
karte hi karte tere qad ka KHayal
misl-e-shamshad ho gaya hai dil
ho ke paband tere kakul se
sar se aazad ho gaya hai dil
ulfat-e-ahl-e-bait se 'agah'
Hyderabad ho gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.