mahw-e-zari to rakha dil ki lagi ne shab-bhar
mahv-e-zārī to rakhā dil kī lagī ne shab-bhar
lekin aañsū bhī jo poñchhe to usī ne shab-bhar
ye mire dil kī chamak hai ki tirī aañkh kā nuur
zehn meñ nāchte rahte haiñ nagīne shab-bhar
rūheñ dam-sāz haiñ to jism bhī hamrāz baneñ
yuuñ to taḌpeñge ye jalte hue siine shab-bhar
ajnabī jaan ke Darte rahe sab darvāze
merī āvāz na pahchānī kisī ne shab-bhar
dil ke betāb samundar meñ tamannā ban kar
Dūbte tairte rahte haiñ safīne shab-bhar
us ke bām-falak-āsār kī tasvīr meñ gum
merī taḳh.īl banātī rahī ziine shab-bhar
jahāñ bedāriyāñ baiThī haiñ muhāfiz ban kar
ham ne ḳhvāboñ meñ nikāle vo dafīne shab-bhar
aañkh uThā kar bhī nahīñ dekhtā ab din meñ jise
kitnā bechain rakhā mujh ko usī ne shab-bhar
sher hī kahiye ki shāyad mile taskīn 'anjum'
yuuñ to ye chāñdnī degī nahīñ jiine shab-bhar
mahw-e-zari to rakha dil ki lagi ne shab-bhar
lekin aansu bhi jo ponchhe to usi ne shab-bhar
ye mere dil ki chamak hai ki teri aankh ka nur
zehn mein nachte rahte hain nagine shab-bhar
ruhen dam-saz hain to jism bhi hamraaz banen
yun to taDpenge ye jalte hue sine shab-bhar
ajnabi jaan ke Darte rahe sab darwaze
meri aawaz na pahchani kisi ne shab-bhar
dil ke betab samundar mein tamanna ban kar
Dubte tairte rahte hain safine shab-bhar
us ke baam-falak-asar ki taswir mein gum
meri taKHil banati rahi zine shab-bhar
jahan bedariyan baiThi hain muhafiz ban kar
hum ne KHwabon mein nikale wo dafine shab-bhar
aankh uTha kar bhi nahin dekhta ab din mein jise
kitna bechain rakha mujh ko usi ne shab-bhar
sher hi kahiye ki shayad mile taskin 'anjum'
yun to ye chandni degi nahin jine shab-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.