mahw hai husn ki adaon mein
mahv hai husn kī adāoñ meñ
ishq rahtā hai kin havāoñ meñ
mai-kashī kyā ḳhatā ḳhatāoñ meñ
jā paḌī baat pārsāoñ meñ
bār-e-ehsāñ baḌhā diyā mujh par
aur kyā hai tirī atāoñ meñ
aur kyā hai tirī atāoñ meñ
nafratoñ kā ġhubār dekhoge
husn-e-iḳhlās kī ridāoñ meñ
gum na ho jaa.eñ valvale dil ke
ziist ke pur-ḳhatar ḳhalāoñ meñ
raqs kartī hai tīrgī 'parvez'
dil-e-barbād kī fazāoñ meñ
mahw hai husn ki adaon mein
ishq rahta hai kin hawaon mein
mai-kashi kya KHata KHataon mein
ja paDi baat parsaon mein
bar-e-ehsan baDha diya mujh par
aur kya hai teri ataon mein
aur kya hai teri ataon mein
nafraton ka ghubar dekhoge
husn-e-iKHlas ki ridaon mein
gum na ho jaen walwale dil ke
zist ke pur-KHatar KHalaon mein
raqs karti hai tirgi 'parwez'
dil-e-barbaad ki fazaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.