mahz dil-lagi ke wo andaz nikle
mahz dil-lagī ke vo andāz nikle
tere sab ishāre daġhābāz nikle
badal dene kā vaqt bharte the jo dam
vo sab inqilābī ghaḌī-sāz nikle
vo likhtī hai qisse uḌan-tashtarī ke
kisī tarah to shauq-e-parvāz nikle
samajh kar adā ham ġhazal kah rahe the
vo bā-qā.edā ham se nārāz nikle
mohabbat kī boTī yuuñ aTkī gale meñ
rahā jaa.e chup hī na āvāz nikle
lī shab bhar talāshī huzūr-e-jigar kī
havāle se un ke ka.ī raaz nikle
mahz dil-lagi ke wo andaz nikle
tere sab ishaare daghabaz nikle
badal dene ka waqt bharte the jo dam
wo sab inqilabi ghaDi-saz nikle
wo likhti hai qisse uDan-tashtari ke
kisi tarah to shauq-e-parwaz nikle
samajh kar ada hum ghazal kah rahe the
wo ba-qaeda hum se naraaz nikle
mohabbat ki boTi yun aTki gale mein
raha jae chup hi na aawaz nikle
li shab bhar talashi huzur-e-jigar ki
hawale se un ke kai raaz nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.