mai-kasho jam uTha lo ki ghaTaen aain
mai-kasho jaam uThā lo ki ghaTā.eñ aa.iiñ
ishrabū kahtī huī sard havā.eñ aa.iiñ
ishq o ulfat kī sazā mil ga.ī āḳhir mujh ko
mere aage mirī ma.asūm ḳhatā.eñ aa.iiñ
ab tavajjoh to mire haal pe ho jaatī hai
shukr kartā huuñ ki is but ko jafā.eñ aa.iiñ
ḳhanda-zan dāġh-e-ma.āsī pe huī jaatī hai
lo mirī sharm-e-gunah ko bhī adā.eñ aa.iiñ
vahī marne kī tamannā vahī jiine kī havas
na jafā.eñ tumheñ aa.iiñ na vafā.eñ aa.iiñ
phir vo āmāda hue mujh pe barasne ke liye
phir mire sar pe musībat kī ghaTā.eñ aa.iiñ
is qadar jaur-e-hasīnāñ se rahā ḳhauf-zada
hūreñ aa.iiñ to maiñ samjhā ki balā.eñ aa.iiñ
koh-e-ġham thā mirā in.ām-e-mohabbat shāyad
chaar jānib se uThālo kī sadā.eñ aa.iiñ
Dūbne vaalī hai kyā kashtī-e-ummīd ai 'josh'
mauj taḌpī lab-e-sāhil pe duā.eñ aa.iiñ
mai-kasho jam uTha lo ki ghaTaen aain
ishrabu kahti hui sard hawaen aain
ishq o ulfat ki saza mil gai aaKHir mujh ko
mere aage meri masum KHataen aain
ab tawajjoh to mere haal pe ho jati hai
shukr karta hun ki is but ko jafaen aain
KHanda-zan dagh-e-maasi pe hui jati hai
lo meri sharm-e-gunah ko bhi adaen aain
wahi marne ki tamanna wahi jine ki hawas
na jafaen tumhein aain na wafaen aain
phir wo aamada hue mujh pe barasne ke liye
phir mere sar pe musibat ki ghaTaen aain
is qadar jaur-e-hasinan se raha KHauf-zada
huren aain to main samjha ki balaen aain
koh-e-gham tha mera inam-e-mohabbat shayad
chaar jaanib se uThaalo ki sadaen aain
Dubne wali hai kya kashti-e-ummid ai 'josh'
mauj taDpi lab-e-sahil pe duaen aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.