mai-kasho jaan ke lale nazar aate hain mujhe
mai-kasho jaan ke laale nazar aate haiñ mujhe
ḳhālī ḳhālī se piyāle nazar aate haiñ mujhe
zehn insāñ ne tarāshe haiñ jo yazdāñ ke ḳhilāf
saare be-jān havāle nazar aate haiñ mujhe
vaqt-e-raftār chhalakte hue ye rūp-kalas
chalte phirte se shivāle nazar aate haiñ mujhe
hai havāsoñ pe shab-e-hijr kā is darja asar
sub.h ke rañg bhī kaale nazar aate haiñ mujhe
tere ash.ār bhī shādāb butoñ ke mānind
nāz-o-andāz ke paale nazar aate haiñ mujhe
mai-kasho jaan ke lale nazar aate hain mujhe
KHali KHali se piyale nazar aate hain mujhe
zehn insan ne tarashe hain jo yazdan ke KHilaf
sare be-jaan hawale nazar aate hain mujhe
waqt-e-raftar chhalakte hue ye rup-kalas
chalte phirte se shiwale nazar aate hain mujhe
hai hawason pe shab-e-hijr ka is darja asar
subh ke rang bhi kale nazar aate hain mujhe
tere ashaar bhi shadab buton ke manind
naz-o-andaz ke pale nazar aate hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.