Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai-KHana hai bina-e-shar-o-KHair to nahin

Ejaz Warsi

mai-KHana hai bina-e-shar-o-KHair to nahin

Ejaz Warsi

MORE BYEjaz Warsi

    mai-ḳhāna hai binā-e-shar-o-ḳhair to nahīñ

    ai shaiḳh-o-barhaman haram-o-dair to nahīñ

    qāsid ko tak rahā huuñ bajā.e javāb-e-ḳhat

    kambaḳht ye na kah de kahīñ ḳhair to nahīñ

    apnoñ shikva kis liye aa.e zabān par

    ahbāb ke sitam sitam-e-ġhair to nahīñ

    aapas meñ kyuuñ haiñ bar-sar-e-paikār ahl-e-shahr

    dekho yahāñ kahīñ haram-o-dair to nahīñ

    ai shaiḳh sirf shikva-e-pindār zohd hai

    varna mujhe janāb se kuchh bair to nahīñ

    mahv-e-ḳhirām ġhuncha-o-gul dekh-bhāl kar

    pāmālī-e-bahār hai ye sair to nahīñ

    banda-navāz aap aur izhār-e-shukriya

    'e'jāz' aap hai koī ġhair to nahīñ

    mai-KHana hai bina-e-shar-o-KHair to nahin

    ai shaiKH-o-barhaman haram-o-dair to nahin

    qasid ko tak raha hun bajae jawab-e-KHat

    kambaKHt ye na kah de kahin KHair to nahin

    apnon ka shikwa kis liye aae zaban par

    ahbab ke sitam sitam-e-ghair to nahin

    aapas mein kyun hain bar-sar-e-paikar ahl-e-shahr

    dekho yahan kahin haram-o-dair to nahin

    ai shaiKH sirf shikwa-e-pindar zohd hai

    warna mujhe janab se kuchh bair to nahin

    mahw-e-KHiram ghuncha-o-gul dekh-bhaal kar

    pamali-e-bahaar hai ye sair to nahin

    banda-nawaz aap aur izhaar-e-shukriya

    'e'jaz' aap ka hai koi ghair to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now