mai-KHane mein jam-o-subu
mai-ḳhāne meñ jām-o-subū
aur masjid meñ allāh hū
ho vo tabassum yā aañsū
ik tasvīr ke do pahlū
ḳhaar pe bhī hai gul kā gumāñ
uf ye fareb-e-rañg-o-bū
terī nazar meñ saarā jahāñ
merī nazar meñ bas ik tū
terā takallum sahr-āgīñ
terī ḳhamoshī meñ jaadū
sab haiñ vafā se begāne
vaqt zamāna qismat tū
chandan meñ kab aa.e phuul
sone meñ kab hai ḳhushbū
kyā tafrīq-e-rañg-o-nasl
jaise sab haiñ vaisā tū
ab har sū paanī kī tarah
bahtā hai insāñ kā lahū
ye parda ab kaun uThā.e
maiñ tujh meñ yā mujh meñ tū
dekh hunar ke sheroñ meñ
khiñch aayā hai dil kā lahū
mai-KHane mein jam-o-subu
aur masjid mein allah hu
ho wo tabassum ya aansu
ek taswir ke do pahlu
KHar pe bhi hai gul ka guman
uf ye fareb-e-rang-o-bu
teri nazar mein sara jahan
meri nazar mein bas ek tu
tera takallum sahr-agin
teri KHamoshi mein jadu
sab hain wafa se begane
waqt zamana qismat tu
chandan mein kab aae phul
sone mein kab hai KHushbu
kya tafriq-e-rang-o-nasl
jaise sab hain waisa tu
ab har su pani ki tarah
bahta hai insan ka lahu
ye parda ab kaun uThae
main tujh mein ya mujh mein tu
dekh hunar ke sheron mein
khinch aaya hai dil ka lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.