mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe
mai rahe miinā rahe gardish meñ paimāna rahe
mere saaqī tū rahe ābād mai-ḳhāna rahe
hashr bhī to ho chukā ruḳh se nahīñ miTtī naqāb
had bhī āḳhir kuchh hai kab tak koī dīvāna rahe
kuchh nahīñ ham dil-jaloñ kī be-qarārī kuchh nahīñ
terī mahfil vo hai jis meñ sham-e-parvāna rahe
gore hāthoñ meñ bane chauḌī ḳhat-e-sāġhar kā aks
tere dast-e-nāz meñ nāzuk sā paimāna rahe
kam se kam itnā asar ho jo sune aa jaa.e niiñd
bekasoñ kī maut kā hoñThoñ par afsāna rahe
raat jo jā baiThte haiñ roz ham majnūñ ke paas
pahle an-ban rah chukī hai ab to yārāna rahe
hashr ho tum sharm ke putle na banñā hashr meñ
chaal iThlā.ī huī andāz mastāna rahe
taab us kī lā nahīñ sakte kabhī nāzuk dimāġh
baar sar hai duur sar se taaj shāhāna rahe
un ke kahne se kabhī yuuñ kah liye do-chār sher
rāt-din fikr-e-suḳhan meñ koī dīvāna rahe
un butoñ ke chalte ham ne dil ko patthar kar liyā
but rahe koī na yārab koī but-ḳhāna rahe
tuur par aa maiñ na mere sāmne yūñhī sahī
haañ zarā tarz-e-takallum be-hijābāna rahe
zindagī kā lutf hai uḌtī rahe har-dam 'riyāz'
ham hoñ shīshe kī parī ho ghar parī-ḳhāna rahe
mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe
mere saqi tu rahe aabaad mai-KHana rahe
hashr bhi to ho chuka ruKH se nahin miTti naqab
had bhi aaKHir kuchh hai kab tak koi diwana rahe
kuchh nahin hum dil-jalon ki be-qarari kuchh nahin
teri mahfil wo hai jis mein sham-e-parwana rahe
gore hathon mein bane chauDi KHat-e-saghar ka aks
tere dast-e-naz mein nazuk sa paimana rahe
kam se kam itna asar ho jo sune aa jae nind
bekason ki maut ka honThon par afsana rahe
raat jo ja baiThte hain roz hum majnun ke pas
pahle an-ban rah chuki hai ab to yarana rahe
hashr ho tum sharm ke putle na banna hashr mein
chaal iThlai hui andaz mastana rahe
tab us ki la nahin sakte kabhi nazuk dimagh
bar sar hai dur sar se taj shahana rahe
un ke kahne se kabhi yun kah liye do-chaar sher
raat-din fikr-e-suKHan mein koi diwana rahe
un buton ke chalte hum ne dil ko patthar kar liya
but rahe koi na yarab koi but-KHana rahe
tur par aa main na mere samne yunhi sahi
han zara tarz-e-takallum be-hijabana rahe
zindagi ka lutf hai uDti rahe har-dam 'riyaz'
hum hon shishe ki pari ho ghar pari-KHana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.