main aandhi mein reza reza ek phul chun raha hun
maiñ āñdhī meñ reza reza ik phuul chun rahā huuñ
Darā Darā sā havā kī sāñsoñ ko sun rahā huuñ
vo donoñ to rabt-e-bāhamī se juḌe hue the
maiñ kyuuñ raqābat ke is jahannam meñ bhun rahā huuñ
paḌosiyoñ ke tamām mafrūze sach hue haiñ
maiñ be-samar sochūñ kī zehānat ko dhun rahā huuñ
kohar meñ gum-sum samā.ato tum gavāh rahnā
maiñ ek dīvār-e-girya har raat chun rahā huuñ
mil aise mujh se gumān ho lā-ta.alluqī kā
maiñ dostī ke liye bahut bad-shagun rahā huuñ
main aandhi mein reza reza ek phul chun raha hun
Dara Dara sa hawa ki sanson ko sun raha hun
wo donon to rabt-e-bahami se juDe hue the
main kyun raqabat ke is jahannam mein bhun raha hun
paDosiyon ke tamam mafruze sach hue hain
main be-samar sochun ki zehanat ko dhun raha hun
kohar mein gum-sum samaato tum gawah rahna
main ek diwar-e-girya har raat chun raha hun
mil aise mujh se guman ho la-talluqi ka
main dosti ke liye bahut bad-shagun raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.