Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun

Wali Mohammad Wali

main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    maiñ āshiqī meñ tab suuñ afsāna ho rahā huuñ

    terī nigah jab suuñ dīvāna ho rahā huuñ

    ai āshnā karam suuñ yak baar aa daras de

    tujh baaj sab jahāñ suuñ begāna ho rahā huuñ

    bātāñ lagan mat pūchh ai sham-e-bazm-e-ḳhūbī

    muddat se tujh jhalak parvāna ho rahā huuñ

    shāyad vo ganj-e-ḳhūbī aave kisī taraf suuñ

    is vāste sarāpā vīrāna ho rahā huuñ

    saudā-e-zulf-e-ḳhūbāñ rakhtā huuñ dil meñ daa.im

    zanjīr-e-āshiqī dīvāna ho rahā huuñ

    barjā hai gar sunūñ na.iiñ nāseh tirī nasīhat

    maiñ jām-e-ishq kar mastāna ho rahā huuñ

    kis suuñ 'valī' apas ahvāl kahūñ maiñ

    sar-tā-qadam maiñ ġham suuñ ġham-ḳhāna ho rahā huuñ

    main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun

    teri nigah ka jab sun diwana ho raha hun

    ai aashna karam sun yak bar aa daras de

    tujh baj sab jahan sun begana ho raha hun

    baatan lagan ki mat puchh ai sham-e-bazm-e-KHubi

    muddat se tujh jhalak ka parwana ho raha hun

    shayad wo ganj-e-KHubi aawe kisi taraf sun

    is waste sarapa virana ho raha hun

    sauda-e-zulf-e-KHuban rakhta hun dil mein daim

    zanjir-e-ashiqi ka diwana ho raha hun

    barja hai gar sunun nain naseh teri nasihat

    main jam-e-ishq pi kar mastana ho raha hun

    kis sun 'wali' apas ka ahwal ja kahun main

    sar-ta-qadam main gham sun gham-KHana ho raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now