main aasman mein pahla sitara dekhte hi
maiñ āsmān meñ pahlā sitāra dekhte hī
huuñ apne aap se ḳhārij ḳhasāra dekhte hī
thā raunaqoñ meñ ghirā jab thā biich dariyā ke
ab ābdīda huuñ ḳhālī kināra dekhte hī
nashāt-e-jazb se maiñ apne hosh kho baiThā
junūñ kā sar meñ bahut āshkāra dekhte hī
hai kaisā dard jo dil ke huā hai dāman-gīr
nazar pe baar hoñ rañg-e-nazāra dekhte hī
abhī maiñ sahar kī pahlī nazar se niklā na thā
tamāsha ban gayā us ko dobāra dekhte hī
bas ab ye hogā ki tum par hī aañch aa.egī 'tūr'
bhaḌak uThā hai vo dil kā shumāra dekhte hī
main aasman mein pahla sitara dekhte hi
hun apne aap se KHarij KHasara dekhte hi
tha raunaqon mein ghira jab tha bich dariya ke
ab aabdida hun KHali kinara dekhte hi
nashat-e-jazb se main apne hosh kho baiTha
junun ka sar mein bahut aashkara dekhte hi
hai kaisa dard jo dil ke hua hai daman-gir
nazar pe bar hon rang-e-nazara dekhte hi
abhi main sahar ki pahli nazar se nikla na tha
tamasha ban gaya us ko dobara dekhte hi
bas ab ye hoga ki tum par hi aanch aaegi 'tur'
bhaDak uTha hai wo dil ka shumara dekhte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.