main agar aap se jaun to qarar aa jae
maiñ agar aap se jā.ūñ to qarār aa jaa.e
par ye Dartā huuñ ki aisā na ho yaar aa jaa.e
bāñdho ab chāragaro chille ki vo bhī shāyad
vasl-e-dushman ke liye sū-e-mazār aa jaa.e
kar zarā aur bhī ai josh-e-junūñ ḳhvār o zalīl
mujh se aisā ho ki nāseh ko bhī aar aa jaa.e
nām-e-bad-baḳhti-e-ushshāq-e-ḳhizāñ hai bulbul
tū agar nikle chaman se to bahār aa jaa.e
jiite jī ġhair ko ho ātish-e-dozaḳh kā azaab
gar mirī naash pe vo shola-azār aa jaa.e
kulfat-e-hijr ko kyā ro.uuñ tire sāmne maiñ
dil jo ḳhālī ho to āñkhoñ meñ ġhubār aa jaa.e
mahv-e-dildār huuñ kis tarah na huuñ dushman-e-jāñ
mujh pe jab nāseh-e-bedard ko pyaar aa jaa.e
Thahar jā josh-e-tapish hai to taḌapnā lekin
chārasāzoñ meñ zarā dam dil-e-zār aa jaa.e
husn-e-anjām kā 'momin' mire baare hai ḳhayāl
yaanī kahtā hai vo kāfir ki tū maarā jaa.e
main agar aap se jaun to qarar aa jae
par ye Darta hun ki aisa na ho yar aa jae
bandho ab chaaragaro chille ki wo bhi shayad
wasl-e-dushman ke liye su-e-mazar aa jae
kar zara aur bhi ai josh-e-junun KHwar o zalil
mujh se aisa ho ki naseh ko bhi aar aa jae
nam-e-bad-baKHti-e-ushshaq-e-KHizan hai bulbul
tu agar nikle chaman se to bahaar aa jae
jite ji ghair ko ho aatish-e-dozaKH ka azab
gar meri nash pe wo shola-azar aa jae
kulfat-e-hijr ko kya roun tere samne main
dil jo KHali ho to aankhon mein ghubar aa jae
mahw-e-dildar hun kis tarah na hun dushman-e-jaan
mujh pe jab naseh-e-bedard ko pyar aa jae
Thahar ja josh-e-tapish hai to taDapna lekin
chaarasazon mein zara dam dil-e-zar aa jae
husn-e-anjam ka 'momin' mere bare hai KHayal
yani kahta hai wo kafir ki tu mara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.