main agar dil jala nahin hota
maiñ agar dil jalā nahīñ hotā
she'r koī kahā nahīñ hotā
azmat-e-ishq hai ki jhuktā huuñ
koī paikar ḳhudā nahīñ hotā
baañs ke shahr meñ base logo
har shajar khokhlā nahīñ hotā
bas vahī raat din kī gardish hai
aur kuchh bhī nayā nahīñ hotā
raas aane lagī hai furqat bhī
in dinoñ ġham-zada nahīñ hotā
apnī vahshat se ḳhauf khātā huuñ
zabt har martaba nahīñ hotā
ek sāgar chhupā hai āñkho meñ
sirf aañsū chhupā nahīñ hotā
mas.ala zindagī kā hai 'kāfir'
maut meñ kuchh burā nahīñ hotā
main agar dil jala nahin hota
she'r koi kaha nahin hota
azmat-e-ishq hai ki jhukta hun
koi paikar KHuda nahin hota
bans ke shahr mein base logo
har shajar khokhla nahin hota
bas wahi raat din ki gardish hai
aur kuchh bhi naya nahin hota
ras aane lagi hai furqat bhi
in dinon gham-zada nahin hota
apni wahshat se KHauf khata hun
zabt har martaba nahin hota
ek sagar chhupa hai aankho mein
sirf aansu chhupa nahin hota
masala zindagi ka hai 'kafir'
maut mein kuchh bura nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.