main aise moD par apni kahani chhoD aaya hun
maiñ aise moḌ par apnī kahānī chhoḌ aayā huuñ
kisī kī aañkh meñ paanī hī paanī chhoḌ aayā huuñ
abhī to us se milne kā bahāna aur karnā hai
abhī to us ke kamre meñ nishānī chhoḌ aayā huuñ
bas itnā soch kar hī mujh ko apne paas tum rakh lo
tumhāre vāste maiñ hukmarānī chhoḌ aayā huuñ
isī ḳhātir mire chāroñ taraf phailā hai sannāTā
kahīñ maiñ apne lafzoñ ke ma.ānī chhoḌ aayā huuñ
'nadīm' is gardish-e-aflāk ko maiñ chaak samjhā to
vahāñ par zindagī apnī banānī chhoḌ aayā huuñ
main aise moD par apni kahani chhoD aaya hun
kisi ki aankh mein pani hi pani chhoD aaya hun
abhi to us se milne ka bahana aur karna hai
abhi to us ke kamre mein nishani chhoD aaya hun
bas itna soch kar hi mujh ko apne pas tum rakh lo
tumhaare waste main hukmarani chhoD aaya hun
isi KHatir mere chaaron taraf phaila hai sannaTa
kahin main apne lafzon ke maani chhoD aaya hun
'nadim' is gardish-e-aflak ko main chaak samjha to
wahan par zindagi apni banani chhoD aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.