main ajnabi raha sab se magar sabhi mein raha
maiñ ajnabī rahā sab se magar sabhī meñ rahā
ye hausla bhī yahāñ par kisī kisī meñ rahā
qabā-e-azmat-e-insāñ milī faqīroñ ko
faqīh-e-shahr to kyā kyā na sarvarī meñ rahā
khiñchā hai zaḳhm-e-adāvat se dostī kā lahū
jise aziiz rakhā jaañ se dushmanī meñ rahā
charāġh rakh diye sūraj ke sāmne lā kar
magar vo farq na jaanā jo raushnī meñ rahā
zabān khultī to hotā qadam qadam maqtal
sukūt ḳhauf kī sūrat galī galī meñ rahā
main ajnabi raha sab se magar sabhi mein raha
ye hausla bhi yahan par kisi kisi mein raha
qaba-e-azmat-e-insan mili faqiron ko
faqih-e-shahr to kya kya na sarwari mein raha
khincha hai zaKHm-e-adawat se dosti ka lahu
jise aziz rakha jaan se dushmani mein raha
charagh rakh diye suraj ke samne la kar
magar wo farq na jaana jo raushni mein raha
zaban khulti to hota qadam qadam maqtal
sukut KHauf ki surat gali gali mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.