main andheron ka pujari hun mere pas na aa
maiñ añdheroñ kā pujārī huuñ mire paas na aa
apne māhaul se aarī huuñ mire paas na aa
rūp-mahloñ kī tū raanī hai tirā naam baḌā
maiñ to kaliyoñ kā bhikārī huuñ mire paas na aa
mirī āvāz ne kitne hī chaman phūñk diye
nāla-e-sub.h-e-bahārī huuñ mire paas na aa
rañj-o-ālām ke sahrāoñ meñ dariyā ban kar
maiñ baḌe zor se jaarī huuñ mire paas na aa
Thiik hai dost vahī huuñ maiñ tirā 'rām' magar
ab maiñ hālāt se aarī huuñ mire paas na aa
main andheron ka pujari hun mere pas na aa
apne mahaul se aari hun mere pas na aa
rup-mahlon ki tu rani hai tera nam baDa
main to kaliyon ka bhikari hun mere pas na aa
meri aawaz ne kitne hi chaman phunk diye
nala-e-subh-e-bahaari hun mere pas na aa
ranj-o-alam ke sahraon mein dariya ban kar
main baDe zor se jari hun mere pas na aa
Thik hai dost wahi hun main tera 'ram' magar
ab main haalat se aari hun mere pas na aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.