main apne aapko rokun kahan tak
maiñ apne aap ko rokūñ kahāñ tak
fuġhāñ jaatī hai merī lā-makāñ tak
tire qadmoñ kī aahaT gūñjtī hai
vahīñ tak maiñ ga.ī huuñ tū jahāñ tak
nazāra bhī hasīñ thā qurbatoñ kā
dhanak phailī zamīñ se āsmāñ tak
jahāñ pe tīrgī bhī raushnī ho
kabhī dekhā hai tum ne kyā vahāñ tak
main apne aap ko rokun kahan tak
fughan jati hai meri la-makan tak
tere qadmon ki aahaT gunjti hai
wahin tak main gai hun tu jahan tak
nazara bhi hasin tha qurbaton ka
dhanak phaili zamin se aasman tak
jahan pe tirgi bhi raushni ho
kabhi dekha hai tum ne kya wahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.