main apne aap se behad laDa hun
maiñ apne aap se behad laḌā huuñ
tabhī qad se ziyāda maiñ baḌā huuñ
yahāñ rishtoñ se chīzeñ ban rahī haiñ
darāzoñ meñ kisī ḳhat meñ paḌā huuñ
ye duniyā ulTī hotī jā rahī hai
ki maiñ ab apne pairoñ par khaḌā huuñ
ye saare log jo mujh se baḌe haiñ
kabhī kahte the maiñ un se baḌā huuñ
ye ḳhālī-pan jise ghar kah rahe ho
kisī dīvār par maiñ bhī jaḌā huuñ
main apne aap se behad laDa hun
tabhi qad se ziyaada main baDa hun
yahan rishton se chizen ban rahi hain
daraazon mein kisi KHat mein paDa hun
ye duniya ulTi hoti ja rahi hai
ki main ab apne pairon par khaDa hun
ye sare log jo mujh se baDe hain
kabhi kahte the main un se baDa hun
ye KHali-pan jise ghar kah rahe ho
kisi diwar par main bhi jaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.